
Sonia Gandhi ki kitaab par Maharashtra mein bawaal: Shinde gut ki Shiv Sena ne phaade panne, page 201 aur 443 hataane aur rajya mein ban ki maang, Uddhav Thackeray se poochha sawaal
Sonia Gandhi ke sansmaran ‘Belonging: A Journey of Love’ ko lekar Maharashtra ki rajneeti garma gayi hai. Eknath Shinde ki aguwai wali Shiv Sena ne budhvaar ko Mumbai mein press conference kar kitaab mein Veer Savarkar aur Shiv Sena sansthapak Balasaheb Thackeray ke kathit apmaan ka aarop lagaya. Party netaon ne kitaab ke panne phaadkar virodh jataya […]


















